Poems
Waqt to phir waqt hai…
Waqt to phir waqt hai, guzar hi jayega,
Aaj nahi to kal sab theek ho hi jayega,
Kal tak waqt ki kami thi,
Zindagi jaane kis raftaar se bhaag rahi thi,
Aur hum uske peeche.
Ye jo din beet rahe hain, inhein khwaab main dekha tha,
Haqeeqat main har kisi ko waqt se kitni shikayat thi,
Kahin kuch rahaat ke pal naseeb hon,
Kuch waqt mile apnon ke saath guzaarne ka
Bachon ke saath baith kar wo bachapan ke khel khelne ka,
Ek dusre ka kaam main haath batane ka,
Doston se fursat main baat karne ka,
Aaj Waqt ruka hai,
To hum kyun ruk nahi paa rahe,
Kyu bechain ho,
In palon ko jee nahi pa rahe,
Kal kya hoga kon jaanta hai,
Jo hoga acha hoga,
Ye yaqeen khud par rakhna hai,
Apnon ka khayal rakhna hai,
Aur zara sa hausla rakhna hai,
Waqt to phir waqt hai,
Chahe jitna bhi bura ho,
Guzar hi jayega….
We don’t know who the Writer is but is a Superb summation of present times.